Mumbra's 1st Online News Website

Sunday, 17 December 2017

Vo din jald ayega, jab hamari Agencya mujhe aarop mukt karegi: Dr Zakir Naik



Vivadit Islamic pracharak Dr Zakir Naik ke khilaf interpol ne red cornar notise jari karne se enkar kiya hai. interpol ke es phaisle ke bad Dr Zakir Naik ne khushi jatai hai. Dr Zakir Naik ne kaha hai ki es phaisle ke bad mujhe kafi khushi ho rahi hai, mai ummid karta hun ki mere desh ki Agencya bhi mere upar lage galat charj ko jald hatayegi.

bata de ki shaniwar ko Indian Agencyo ko bada jhatka dete huve interpol ne vivadit Islamic pracharak Dr Zakir Naik ke khilaf red cornar notise jari karne se inkar kar diya tha. Dr Zakir Naik ke ek karibi ne es bat ki pushti ki thi ki unhe es bat ki suchna mil gayi hai.

Dr Zakir Naik ke khilaf NIA ki charjshit

vahi CBI ne es mamle me kuch bhi kahne se inkar kar diya tha. CBI ne kaha ki es mamle me Indian janch Agency hi kuch kah sakti hai. interpol ne Dr Zakir Naik ke vakil ko khat ke jariye suchna di hai ki sabut ke abhav me Dr Zakir Naik ke khilaf red cornar notise jari karne ke aagrah ko radd kar diya gaya hai.

NIA ne batai notise na jari hone ki vajah

NIA ke pravakta Aalok Mittal ne bayan diya hai ki interpol ne Dr Zakir Naik ke khilaf red Cornar notise isaliye nahi jari kiya kyoki jab apil ki gayi thi, tab Dr Zakir Naik par charjshit file nahi hui thi. ab inhe naye sire se notise jari karne ki apil karega kyonki agency ki Mumbai court me Dr Zakir Naik ke khilaf charjshit dayar hai.

kya hain aarop?

aapko bata den ki Dr Zakir Naik ke khilaf gairkanuni gatividhiya roktham adhiniyam (UAPA) aur  Bhartiy Dand vidhan ki dhara 20 (b), 153 (a), 295 (a), 298 and 505 (2) ke tahat aarop tay kiye gaye hain.

Reporto ke mutabik Dr Zakir Naik Maleshiya men sharan liye huve hai. Bangladesh me aatanki hamle ko anjam dene vale aatankiyo ne jab Dr Zakir Naik se prabhavit hone ki bat kabuli, to vo 1 Julai, 2016 ko Bharat se bhag gaye. eske bad November, 2016 men Dr Zakir Naik ke khilaf kes darj kiya gaya aur desember, 2016 men Dr Zakir Naik ke NGO ko kendriya gruah Mantralay ne band kar diya.

No comments:

Post a Comment