Indian smartphone market teji se badh raha hai aur smartphone users ki tadad pahle se kahi jyada hui hai. kya aap jante hai ki india me kaun si smartphone nirmata company nomber 1 brand bankar ubhri hai? aapko bata den ki chin ki Electronic company xiaomi India ki nomber 1 smartphone brand ban gai hai.
Reports ke mutabik xiaomi south korean Electronic company Samsung ko Indian smartphone market me kadi takkar de rahi hai. India me popular smartphone brand ki ye Deta, International Data Corporation "IDC" ki taraf se jari ki gai hai.
Research farm "IDC" ke mutabik, 'xiaomi ne Samsung ki barabari kar li hai. xiaomi aur Samsung ke Market Share barabar hai.' Reports me kaha gaya hai ki 2017 ki tisri timahi me xiaomi India ki nomber 1 smartphone brand ban gai hai.
Report me ye bhi kaha gaya ki pichle mahine Counter Point Research aur analice ke anusar, xiaomi aur Samsung ke bich me 0.5% se 1% tak ka Reaching Distence tha, jise xiaomi ne jald hi cover kar liya.
tisri timahi me 23.5 fisdi market share aur 92 lakh smartphone ke sath xiaomi nomber 1 smartphone brand ban gai hai. xiaomi ne 1 sal me 300 fisdi groth hasil ki hai. 20 Desember se 19 October ke bich record 40 lakh smartphone beche hai.
aapko bata de ki xiaomi ki sabse jyada bikne vale model me Redmi not 4, Redmi 4 aur Redmi 4a smartphone shamil hai.
yad ho ki chinese company xiaomi ne 2014 me Indian smartphone market me kadam rakha tha. ab online smartphone market me xiaomi ne 51 fisdi market share hasil kiya hai.
No comments:
Post a Comment