Mumbra's 1st Online News Website

Thursday, 16 August 2018

Railway station ke bad Airport: Yogi sarkar ka 3 nam badalne ka prastav

Aitihasik Mughalsarai  Railway station ke bad UP ki Yogi sarkar ne Aagra, Bareli aur Kanpur Hawai addo ka nam badalne ki taiyari me hai. es bare me Rajya ke Nagrik Uddayan Vibhag ne kendra ke pas prastav bheja hai.


Mughalsarai Railway station ka nam Pandit Dindyal Upadhyay ke nam par rakhe jane ke bad UP  ki Yogi sarkar ne kendra se Aagra, Bareli aur Kanpur  Hawai addo ka nam bhi badalne ka prastav kiya hai.



ek adhikarik Pravakta ne bataya ki Rajya Nagarik Uddayan Vibhag ne ek prastav me Aagra Hawai adde ka nam Dindyal Upadhyay ke nam par rakhne ke alava Bareli Hawai adde ka nam 'Nath Nagri' ke nam par rakhne ko kaha hai jo es Shahar ka purana nam bataya jata hai.


eske sath hi Kanpur ke Chakeri Hawai adde ka nam Swatantrata Sangram Senani Ganesh Shankar Vidyarthi ke nam par rakhe jane ka prastav hai. prastav me kaha gaya hai ki Kanpur ko pahle Kanhapur ke nam se jana jata tha aur Sachendi Raja Hindu Sinh ne eski sthapna ki thi.


Nath Sampraday se talluk rakhne vale sube ke Mukhyamantri Yogi Aadityanath ne Gorakhpur me Bhartiy Vayusena ke Hawai adde ke civil tarminal ke nam me badlav kiya tha. eska nam Mahayogi Gorakhnath ke nam par rakha gaya tha jo nath Panth ke sansthapak the. mukhyamantri Yogi Nath Sampraday ki Aastha ke sabse bade kendra Gorakshnath Pith ke Mahant bhi hain.


Pradesh ke Nagrik Uddayan Mantri Nand Gopal Nandi ne kaha ki en tino Hawai addo ka nam badle jane ki mang arse se ho rahi hai. unhone kaha ki hamne en Hawai addo ke nam badalne ke liye kendra Sarkar se Aagrah kiya hai. es bare me Nagrik Uddayan Mantralay ke adhikariyo ke sath jald hi baithak hone ki sambhavna hai.


 Bata de ki hal hi men Aitihasik Mughalsarai junction ka nam ekatmak Manavvad' ka sandesh dene vale Rashtriya Svayag Sevak Sangh ke vicharak Dindyal Upadhyay ke nam par rakha gaya tha. Mughalsarai station ka nirman 1862 me east india company ke jamane me kiya gaya tha. es station ke nirman ke 106 sal bad 11 February 1968 ko Pandit Dindyal Upadhyay Railway junction ke nikat poll sankhya 1276 ke pas Rahasyamay halat me Mrit avastha me paye gaye the.

Hindi News se jude update  our News lagatar hasil karne ke liye hamare sath Facebook Page our Twitter handale ke sath Google Plus par jude

No comments:

Post a Comment