*Lockdown: Ministry of Home Affairs Under Disaster Management ka Orders. *
👉 Lockdown ke baad bohot sare logo ki problem badh gayi hai. Bohot sare shaharo se log apne apne gao jarahe hai.
👉Iske chalte *Disaster management Act* ke antargat sarkar (govt.) ko order dena pada hai. Notice me bohot sare orders hai pura notification aap padh sakte hai. Humari website pe link niche diya gaya hai.
Click here to read full notice
👉 Private Employees ke liye diya gaya hai. *Industry, Shop and Commercial Establishment,* unko apne workers ko salary dena hai, aur jo employees gharse kaam karrahe hai unko bhi, Bilkul bhi usme koi deduction nahi hoga. Matlab puri salary di jani chahiye.
👉 Agar koi salary nahi deta hai aur ya fir deduction karta hai to *Ministry Home Affairs Under Disaster Management Act 10(2)* ke tahat karwayi ki jayegi.
👉 Sabhi ghar aur hostel ke landlords ko bolagaya hai ki wo ek mahine tak rent na mange.
👉 Isme ye diya gaya hai agar koi landlord (ghar ka malik) agar rent (bhada) ka demand karta hai ya fir vacate (khali) karne ke liye bolta hai iss lockdown ke samaye pe to uspe bhi action liya jayega *Home Affairs Under Disaster Management Act* ke tahat.
☑️ News verified by *The MBN*
No comments:
Post a Comment