Mumbra's 1st Online News Website

Thursday, 30 November 2017

Crime ke mamle me Number 1 hai Delhi, Number 2 Bangalore aur Number 3 bani Mumbai

NCRB ki report ke mutabik, 2016 me IPC ke tahat desh bhar ke shahro men ghatit apradho me 38.8 phisdi hissedari ke sath Delhi es suchi men shirsh sthan par hai.

New Delhi: National Crime Records Bureau (NCRB) ki our se guruwar ko jari report ke mutabik Delhi desh me sabse jyada apradhik ghatnao vala shahar hai. NCRB ki report ke mutabik, 2016 me Bhartiya dand sahita (IPC) ke tahat desh bhar ke shahro me ghatit apradho men 38.8 phisdi hissedari ke sath Delhi es suchi men shirsh sthan par hai.
eske bad 8.9 phisdi apradh ke sath Bangalore ka sthan hai aur 3rd sthan par Mumbai hai, jaha desh ki 7.7 phisdi aapradhik ghatnaye darj ki gayi hai. report ke mutabik, pure desh men 2016 men 1 sal pahle ke mukable 2.6 phisdi apradh ke mamlo men badhotri hui.
Balatkar, Hatya, Apaharan aur Balva jaise apradho ke kul 48,31,515 mamle deshabhar me darj kiye gaye. enme 29,75,711 mamle IPC ke tahat aane vale apradh ki shreni ke the. 18,55,804 mamle vishesh our sthaniy kanoon se sambandhit apradh ki shreni me darj kiye gaye the. 2015 men deshbhar me kul 47,10,676 apradh ke mamle samne aye the.
Crime' me UP raha Numbar 1
rajyo men Uttar Pradesh men IPC ke tahat aapradhik mamle sabse jyada 9.5 phisdi darj kiye gaye. 2 our 2 sthan par Madhyapradesh me 8.9 phisdi aur Maharashtra me 8.8 phisdi mamle darj kiye gaye. Keral me deshbhar ke kul aapradhik mamlo me 8.7 phisdi mamle darj kiue gaye.
National Crime Records Bureau (NCRB) ki or se jari aankado ke mutabik hatya aur mahilao ke khilaf apradh jaise sarvadhik mamle sal 2016 me Uttar Pradesh me darj kiye gaye. desh ke sabse bade rajya UP me hatya ki ghatnaye sabse jyada huin. yaha hatya ki 4,889 ghatnaye hui, jo aise kul mamlo ka 16.1 phisdi hai.
Uttar Pradesh ke bad pichle sal hatya ki sabse jyada 2,581 (8.4 phisdi) ghatnaye Bihar me darj ki gai.
sal 2016 me mahilao ke khilaf apradho ke kul mamlo me se 14.5 phisdi (49,262 mamle) Uttar Pradesh me huve jiske bad 9.6 phisdi yani 32,513 mamlo ke sath West Bengal raha. sal 2015 ke mukable desh me rape ki ghatnaye 12.4 phisdi badh gayi.

aankado ke mutabik, rape ke mamle sabse jyada MP aur UP me huve. aisi kul ghatnao me se 12.5 phisdi (4,882 mamle) MP me, 12.4 phisdi (4,816 maamle) UP me aur 10.7 phisdi yani 4,189 mamle Maharashtra me huve.

No comments:

Post a Comment