Mumbra's 1st Online News Website

Tuesday, 5 December 2017

MUMBAI se takraya chakravati tufan Okhi: 5 zilo ke school,college band



Mumbai: South Bharat me bhari tabahi ke bad chakravati tufan Okhi ne Mumbai me dastak de di hai. eska zor kam hone ke bavjud Somwar sham Mahanagar ke kai ilako me tej havao ke sath barish hui. Mumbai aur Konkan samet sabhi tatiy ilako me machhuaaro aur aam logo ko savdhan rehne ki salah di gayi hai. Okhi ka asar budhwar tak rah sakta hai.
uth sakti hain unchi-unchi lahre 
Mumbai Mahanagar Palika ke apatkalin vyavasthapan kaksh ne chakravat ke maddenazar nagarikon se savdhani baratne ki apil ki hai. aagah kiya hai ki 4 se 7 Disembar tak samudra me unchi-unchi lahre uthengi. 
Mumbai ke alava Sindhudurg, Thane, Raygadh aur Palaghar me bhi chakravat ka asar dikha. eske chalte Shiksha Mantri Vinod Tavde ne Twitt kar en zilo ke school,college me mangalwar ko Suraksha hetu chhutti ka ailan kar diya. 

aaj Gujrat me de sakta hai dastak 

Okhi Gujrat ki or bhi badh raha hai. eske mangalwar der rat Gujrat ke tato se takrane ke aasar hai. mousam vibhag ne mangalwar der rat Gujrat ke tat se takrate vakt tufan ke kamzor padne ki sambhavna jahir ki hai.

tufan Surat ke pas samudra tat ko Deep depression ke taur par par kar sakta hai. ese ati bhishan samudri chakravat ki category me rakha gaya hai. mousam vibhag ne South Gujrat ke samudra tatiy ilako ke liye chetavni jari ki hai. en ilako me machhuaro ko samudra me na jane ki salah di gayi hai. nuksan ko kam se kam karne ke liye sabhi jaruri kadam uthaye jaa rahe hai.

ye kiya upay 

samudra ki or jane vale 6 rasto ko band kar diya gaya hai.
Chaityabhumi jane valon ke liye vaikalpik marg banaye gaye hai. 
Chaityabhumi aane vale hazaro logo ke liye 350 Mobile Toilet, 350 Bathroom aur svasthy suvidha ka entzam kiya gaya hai.
Nausena, Coast Guard, aur Damkal vibhag ko sajag rahne ke nirdesh 



uth sakti hain unchi-unchi lahre 

Mumbai Mahanagar Palika ke apatkalin vyavasthapan kaksh ne chakravat ke maddenazar nagariko se savdhani baratne ki apil ki hai. aagah kiya hai ki 4 se 7 Disembar tak samudra men unchi-unchi lahre uthengi. 


No comments:

Post a Comment