Mumbra's 1st Online News Website

Friday, 5 January 2018

3 talaq bill select committee ko bhejne se kyo bach rahi hai sarkar


shitkalin satra me 3 talaq bill pass karvane ke liye sarkar ke pas aaj aakhiri mauka hai, dekhna dilachasp hoga ki sarkar aaj apne es prayas me kamyab ho pati hai ya nahi.
Lok sabha me bahumat ke dam par sarkar ne aasani se bill pas kara liyaa, lekin rajya
sabha me sarkar alpmat me hai aur use bill paas karane ke liye vipakshi dalon ki madad chahiye, jis congress ne lok sabha me bill ko lekar kuch nahi kaha, ab vahi raajya sabha me apni takat dikha rahi hai aur anya dalo ke sath bill ko select committee me bhejne ki mang kar rahi hai.
sarkar ki or se kaha ja raha hai ki bill ko select committee (Pravar samiti) ke pas nahi bheja ja sakta kyoki supreme court ne 3 talaq ko asavaidhanik ghoshit kar rakha hai aur court ke jajo ne 6 mahine ke liye 3 talaq par rok lagai thi aur vo avadhi 22 Fab ko puri ho rahi hai. jabki vipaksh ka kahna hai ki 6 mahine ki avadhi bill pas hone ki taarikh se mani jayegi.
Sarkar ke samiti se darne ki vajah
aakhir vipaksh Muslim mahila (vivah adhikar sanrakshan) vidheyak-2017 bill ko jis Pravar samiti ke pas bhejne ki mang kar rahi hai usse sarkar etni dari kyo hain aur vahan bheje jane se kyo bach rahi hai?
sansad me 2 tarah ki committeo yani sansdiy samitiya kam karti hai jinka gathan sarkari kamkaj par prabhavi niyantran banaye rakhne ke liye bhi kiya jata hai.
sansdiy samitiya do tarah ki hoti hai, tadarth aur sthayi. tadarth samiti ka gathan kisi khas mamle ya uddeshya ke liye kiya jata hai, uska astitva tabhi tak kayam rahta hai, jab tak vah es mamle men apna kam pura kar report sadan ko saup nahi de. jabki sthayi samiti ka kam fix hota hai. lok lekha samiti, prakalan samiti, visheshadhikar samiti aur sarkari aashvasan samiti jaisi kai tarah ki sthayi samitiya hoti hai. vibhagiy aadharit 24 tarah ki sthayi samitiya hoti hai jisme 21 lok sabha aur 10 rajya sabha ke sadasya hote hai. har samiti me sadasyo ki sankhya alag-alag hoti hai. eske alava anya tarah ki sthayi samiti bhi hoti hai.
Pravar samiti aur sanyukt samiti ke rup men tadarth samiti do prakar ki hoti hai, en dono hi samitiyo ka karya sadan men pesh bill (vidheykon) par vichar karna hota hai, lekin jaruri nahi ki sadan ki or se en dono samitiyo ke pas sabhi vidheyko par vichar ke liye bheja hi jaye.
pravar samiti bheje gaye bill ke sabhi mamlo par gambhirta se vichar karti hai. vichar ke bad samiti kisi bhi mamle par apne sujhav de sakti hai. yah samiti bill se sambandhit sangathno, visheshajyon aur anya logo se unki ray le sakti hai. bill par kiye vichaar-vimarsh ke bad pravar samiti apne sanshodhno aur sujhavo ke sath sadan ko report saumpti hai. agar samiti ka koi sadasya sambandhit bill par asahamat hota hai to uski asahamati bhi report ke sath bheji ja sakti hai.
sarkar ko malum hai ki pravar samiti me vipaksh havi rahega aur uski or se jo sanshodhan diya jayege use manvane par bhi jor degi. majburan sarkar ko raajya 
sabhaa ke sanshodhno ko man leti hai, to us surat men bill ko phir se lok sabha me bhejna hoga. aise me bill ka jald pas hone ki sambhavna jati rahegi, jabaki suprime court ki or yah miyad 22 fab ko khatm ho rahi hai.
dono sadno me bill ka pas honaa jaruri
agar 3 talaq se juda yah bill vipaksh pravar samiti ke pas bhijvane ko lekar adi rahi to sarkar ese sansad ke maujudaa shitkalin satra me parit nahi karva sakegi. vaise bhi shit satra me aaj aakhiri din hai. kisi bhi bill ko kanun ka rup lene ke liue ese dono sadno se paas karvana jaruri hota hai.

28 desember ko lok sabha me yah bill pesh kiya gaya jo 7 ghante tak chali lambi bahas ke bad pas ho gaya tha. bahas ke bad kayi sanshodhan bhi pesh kiye gaye, lekin sadan men sab kharij kar diye gaye.

No comments:

Post a Comment