New Delhi.1 bar me 3 talaq ko apradh karar dene vala 3 talaq bil Budhwar ko rajya sabha me pesh kiya gaya. esko lekar kafi hangama hua. congress ne bill ko select committee ko bhejne ki mang ki. es par Arun Jetli ne kaha, "jis bill ko Lok sabha me suport mila, uska rajya sabha me virodh ho raha hai. pura Desh es bat ko dekh raha hai." Muslim mahila (vivah adhikar sanrakshan) bill ko Lok sabha pichhle hafte hi pas kar chuki hai. bill ko lekar CPI, CPIM, DMK, AIADMK, BJD, AIADMK aur sapa ne rajya sabha ke sabhapati ke sath mulakat bhi ki thi. en partiyon ne bhi bill ko select committee ke pas bheje jane ki mang ki. bata de ki Modi sarkar ke pas rajya sabha me bahumat nahi hai. udhar, kendriya mantri Mukhtar Abbas Makvi ne Mangalwar ko kaha ki Congress 3 talaq bill par confusion hai.
rajya sabha me kya hua?
Jetli ne kaha ki supreme court ki 5 judgo ki bench ne 3:2 se diye apne phaisle men 6 mahine me 3 talaq par kanun banane ko kaha tha. lihaza sarkar jaldi men es bill ko sansad me lekar aai.
- rajya sabha me deputy leader of aposition Aanand Sharma ne kaha ki sansad me select committee aur stending cometi ki vyavastha hai, lihaza vidhayika ki ye jimmedari hai ki vah bill ko skutini ke liye bheje.
- sapa sansad Naresh Agraval ne kaha ki rajya sabha ke niymo me billon ko select committee me bhejne ka pravdhan hai.
- purv kanun mantri aur congress neta Kapil Sibbal ne upasabhapati PJ Kuriyan se apil ki ki ve bill ko select committee ko bhejne ki vyavastha de. es dauran pure samay rajya sabha me hangama hota raha. hangama nahi thamne par karyvahi ko guruwar subah 11 baje tak sthagit kar diya gaya.
sarkar ne kya kaha?
- News agency se batchit me parliamentary affairs minister Anant Kumar ne kaha- ham 3 talaq bill par congress aur baki dusri partiyo se batchit kar rahe hai. ummid karte hain ki rajya sabha me ese pas karane me dikkat nahi hogi
No comments:
Post a Comment